us se nisbat hai magar rabta koi nahin hai
us se nisbat hai magar rābta koī nahīñ hai
vo nadāmat hai ki ab silsila koī nahīñ hai
ik na ik din to chukānā hai ḳhamoshī kā hisāb
jānte sab haiñ magar boltā koī nahīñ hai
maiñ ne pūchhā jo havāoñ se tire ghar kā pata
ek tūfāñ ne kahā rāsta koī nahīñ hai
shab ke hāthoñ ne tarāshe haiñ lahū ke kirdār
din samajhtā hai pas-e-vāqi'a koī nahīñ hai
us se nisbat hai magar rabta koi nahin hai
wo nadamat hai ki ab silsila koi nahin hai
ek na ek din to chukana hai KHamoshi ka hisab
jaante sab hain magar bolta koi nahin hai
main ne puchha jo hawaon se tere ghar ka pata
ek tufan ne kaha rasta koi nahin hai
shab ke hathon ne tarashe hain lahu ke kirdar
din samajhta hai pas-e-waqi'a koi nahin hai
- Book : Ishq (Pg. 77)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.