us taraf hai saDak chala jae
us taraf hai saḌak chalā jaa.e
aur phir be-dhaḌak chalā jaa.e
zindagī ke safar meñ ghar se hī
le ke nān-o-namak chalā jaa.e
ḳhaak par baiTh kar ye sochtā huuñ
kabhī sū-e-falak chalā jaa.e
mujh pe āḳhir yaqīn hai is kā
kaash ye merā shak chalā jaa.e
kyā banegā tirā zamīn batā
tere sar se ufuq chalā jaa.e
surma.ī raat meñ tumhārā saath
ḳhvāb meñ der tak chalā jaa.e
kyā samāñ ho vo jab kahe 'shā.eq'
haath par haath rakh chalā jaa.e
us taraf hai saDak chala jae
aur phir be-dhaDak chala jae
zindagi ke safar mein ghar se hi
le ke nan-o-namak chala jae
KHak par baiTh kar ye sochta hun
kabhi su-e-falak chala jae
mujh pe aaKHir yaqin hai is ka
kash ye mera shak chala jae
kya banega tera zamin bata
tere sar se ufuq chala jae
surmai raat mein tumhaara sath
KHwab mein der tak chala jae
kya saman ho wo jab kahe 'shaeq'
hath par hath rakh chala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.