use bhi bund guhar karti rahni paDti hai
use bhī buuñd guhar kartī rahnī paḌtī hai
du'ā bhī mujh ko magar kartī rahnī paḌtī hai
faqat gulāb hī rakhtā nahīñ huuñ hoñToñ par
lahū se aañkh bhī tar kartī rahnī paḌtī hai
maiñ ab bhī rahtā huuñ is shahr meñ havā kī tarah
ye dushmanoñ ko ḳhabar kartī rahnī paḌtī hai
na jaane kaun se kamre meñ saañp baiThā ho
tamām ghar meñ nazar kartī rahnī paḌtī hai
kisī ke chāhne bhar se to kuchh nahīñ hotā
ye zindagī hai basar kartī rahnī paḌtī hai
hamāre mas.ale hal kar de hai kahāñ koī
sabhī se baat magar kartī rahnī paḌtī hai
lahū se Duube hue shahr meñ parindoñ ko
paroñ se saaf Dagar kartī rahnī paḌtī hai
use bhi bund guhar karti rahni paDti hai
du'a bhi mujh ko magar karti rahni paDti hai
faqat gulab hi rakhta nahin hun honTon par
lahu se aankh bhi tar karti rahni paDti hai
main ab bhi rahta hun is shahr mein hawa ki tarah
ye dushmanon ko KHabar karti rahni paDti hai
na jaane kaun se kamre mein sanp baiTha ho
tamam ghar mein nazar karti rahni paDti hai
kisi ke chahne bhar se to kuchh nahin hota
ye zindagi hai basar karti rahni paDti hai
hamare masale hal kar de hai kahan koi
sabhi se baat magar karti rahni paDti hai
lahu se Dube hue shahr mein parindon ko
paron se saf Dagar karti rahni paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.