use humne kabhi dekha nahin hai
use ham ne kabhī dekhā nahīñ hai
vo ham se duur hai aisā nahīñ hai
jidhar jaatā huuñ duniyā roktī hai
idhar kā rāsta terā nahīñ hai
maiñ aisī yātrā par jā rahā huuñ
jahāñ se lauT kar aanā nahīñ hai
safar āzād hone ke liye hai
mujhe manzil kā kuchh dhoka nahīñ hai
hamāre vāste hone kī sūrat
vahī hai jo kahīñ hotā nahīñ hai
hue āzād jab jaanā ye 'sānī'
mafar kā koī bhī rasta nahīñ hai
use hum ne kabhi dekha nahin hai
wo hum se dur hai aisa nahin hai
jidhar jata hun duniya rokti hai
idhar ka rasta tera nahin hai
main aisi yatra par ja raha hun
jahan se lauT kar aana nahin hai
safar aazad hone ke liye hai
mujhe manzil ka kuchh dhoka nahin hai
hamare waste hone ki surat
wahi hai jo kahin hota nahin hai
hue aazad jab jaana ye 'sani'
mafar ka koi bhi rasta nahin hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 28)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.