Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use jo dekha to dekh kar wo laga mohabbat ka ek sitara

Ruchi Darolia

use jo dekha to dekh kar wo laga mohabbat ka ek sitara

Ruchi Darolia

MORE BYRuchi Darolia

    use jo dekhā to dekh kar vo lagā mohabbat ik sitārā

    zamīñ se ho kar guzar rahā thā ḳhudā rahmat ik sitārā

    thakī huī shab jahāñ rukī thī jahāñ Duboyā thā chāñd us ne

    duā meñ shab ne girā diyā us jagah pe qismat ik sitārā

    bahā.e hijrat meñ ashk lākhoñ magar kahāñ thī vo baat un meñ

    jo baat us meñ hai jo girā hai mizha se qurbat ik sitārā

    jo 'ishq karte haiñ āsmāñ se vo ḳhvāb maiñ ne banā liye haiñ

    unheñ paroñ se navāz kar phir banāyā vahshat ik sitārā

    sukūñ pe ye iztirāb hai ab ḳhudāyā koī to mo'jiza ho

    falak se TuuTe gire mirī chhat pe us sohbat ik sitārā

    savāl ham ne kiyā thā tum se kyā 'ishq jaisā tumheñ bhī kuchh hai

    chamak rahā hai hamārī āñkhoñ meñ ab bhī raġhbat ik sitārā

    sarāb afshāñ tavīl rāheñ mohabbatoñ ko bulā rahī haiñ

    unheñ pata hai ki hai mohabbat meñ suhūlat ik sitārā

    hinā se likhā mirī hathelī pe naam terā mahak rahā hai

    shaġhl yahī hai yahī hai merī siyāh fursat ik sitārā

    hayāt raushan ho ga.ī hai jo ruuh meñ huā hai shāmil

    tire laboñ se mire laboñ ne piyā thā ruḳhsat ik sitārā

    tumhārī mahfil meñ chāñd ban kar maiñ aa na paa.ī mu'āf karnā

    sajā diyā hai tumhārī mahfil meñ maiñ ne ḳhalvat ik sitārā

    shadīd mere fasāne jaisā nahīñ fasāna-e-ishq koī

    savāb jaisā milā hai mujh ko terī 'ināyat ik sitārā

    murād māñgī thī titliyoñ ne ḳhizāñ bhī phūloñ ko nuur baḳhshe

    balā sāda-dilī pe TuuTā bahār-e-jannat ik sitārā

    use jo dekha to dekh kar wo laga mohabbat ka ek sitara

    zamin se ho kar guzar raha tha KHuda ki rahmat ka ek sitara

    thaki hui shab jahan ruki thi jahan Duboya tha chand us ne

    dua mein shab ne gira diya us jagah pe qismat ka ek sitara

    bahae hijrat mein ashk lakhon magar kahan thi wo baat un mein

    jo baat us mein hai jo gira hai mizha se qurbat ka ek sitara

    jo 'ishq karte hain aasman se wo KHwab main ne bana liye hain

    unhen paron se nawaz kar phir banaya wahshat ka ek sitara

    sukun pe ye iztirab hai ab KHudaya koi to mo'jiza ho

    falak se TuTe gire meri chhat pe us ki sohbat ka ek sitara

    sawal hum ne kiya tha tum se kya 'ishq jaisa tumhein bhi kuchh hai

    chamak raha hai hamari aankhon mein ab bhi raghbat ka ek sitara

    sarab afshan tawil rahen mohabbaton ko bula rahi hain

    unhen pata hai ki hai mohabbat mein hi suhulat ka ek sitara

    hina se likha meri hatheli pe nam tera mahak raha hai

    shaghl yahi hai yahi hai meri siyah fursat ka ek sitara

    hayat raushan si ho gai hai jo ruh mein tu hua hai shamil

    tere labon se mere labon ne piya tha ruKHsat ka ek sitara

    tumhaari mahfil mein chand ban kar main aa na pai mu'af karna

    saja diya hai tumhaari mahfil mein main ne KHalwat ka ek sitara

    shadid mere fasane jaisa nahin fasana-e-ishq koi

    sawab jaisa mila hai mujh ko teri 'inayat ka ek sitara

    murad mangi thi titliyon ne KHizan bhi phulon ko nur baKHshe

    bala ki sada-dili pe TuTa bahaar-e-jannat ka ek sitara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now