use kah do taras khae chala jae
use kah do taras khaa.e chalā jaa.e
sabhī ye zaḳhm bhar jaa.e chalā jaa.e
mire ghar gaañv meñ sab log rote haiñ
ḳhushī ke giit jo gaa.e chalā jaa.e
udāsī lā sake to ghar mire aa.e
agar koī ḳhushī laa.e chalā jaa.e
bharī is raat meñ jaanā sahī hai kyā
zarā sūraj nikal aa.e chalā jaa.e
sitam ye hai mirā koī nahīñ apnā
mujhe jo chhoḌ kar jaa.e chalā jaa.e
use kah do taras khae chala jae
sabhi ye zaKHm bhar jae chala jae
mere ghar ganw mein sab log rote hain
KHushi ke git jo gae chala jae
udasi la sake to ghar mere aae
agar koi KHushi lae chala jae
bhari is raat mein jaana sahi hai kya
zara suraj nikal aae chala jae
sitam ye hai mera koi nahin apna
mujhe jo chhoD kar jae chala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.