use KHabar bhi nahin gard-e-mah-o-sal hun main
use ḳhabar bhī nahīñ gard-e-māh-o-sāl huuñ maiñ
badan kā bojh uThāte hue nidhāl huuñ maiñ
ye merā zaḳhm ki maiñ bhī vujūd rakhtā huuñ
ḳhud apne zaḳhm kī sozish kā indimāl huuñ maiñ
guzar rahe haiñ sabhī rauñdte hue mujh ko
tirī galī meñ koī naqsh-e-pā.emāl huuñ maiñ
javāb-e-bosa ne pechīda kar diyā hai magar
tire laboñ ke liye sahl sā savāl huuñ maiñ
use KHabar bhi nahin gard-e-mah-o-sal hun main
badan ka bojh uThate hue nidhaal hun main
ye mera zaKHm ki main bhi wujud rakhta hun
KHud apne zaKHm ki sozish ka indimal hun main
guzar rahe hain sabhi raundte hue mujh ko
teri gali mein koi naqsh-e-paemal hun main
jawab-e-bosa ne pechida kar diya hai magar
tere labon ke liye sahl sa sawal hun main
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 92)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 80)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.