use talab thi lihaza bana ke chhoD diya
use talab thī lihāzā banā ke chhoḌ diyā
mire junūñ ko tamāsha banā ke chhoḌ diyā
maiñ ḳhud ko qistoñ meñ puurā banā rahā huuñ ab
ḳhudā ne mujh ko to aadhā banā ke chhoḌ diyā
badan kā ruuh se jhagḌā bahut purānā hai
ise havas kā 'ilāqa banā ke chhoḌ diyā
malāl is kā nahīñ ġhair ho gayā ab vo
malāl ye hai ki apnā banā ke chhoḌ diyā
barat rahā hai yahāñ jis ko jo zarūrat hai
hamāre haath ne kitnā banā ke chhoḌ diyā
use talab thi lihaza bana ke chhoD diya
mere junun ko tamasha bana ke chhoD diya
main KHud ko qiston mein pura bana raha hun ab
KHuda ne mujh ko to aadha bana ke chhoD diya
badan ka ruh se jhagDa bahut purana hai
ise hawas ka 'ilaqa bana ke chhoD diya
malal is ka nahin ghair ho gaya ab wo
malal ye hai ki apna bana ke chhoD diya
barat raha hai yahan jis ko jo zarurat hai
hamare hath ne kitna bana ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.