Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use to kho hi chuke phir KHayal kya us ka

Khalid Sharif

use to kho hi chuke phir KHayal kya us ka

Khalid Sharif

MORE BYKhalid Sharif

    use to kho chuke phir ḳhayāl kyā us

    ye fikr kaisī ki phir hogā haal kyā us

    vo ek shaḳhs jise ḳhud chhoḌ baiThe haiñ

    ghulāe detā hai dil ko malāl kyā us

    tumhārī āñkhoñ meñ chhalkīñ nadāmateñ kaise

    javāb banñe lagā kyā savāl kyā us

    vo nafratoñ ke bhañvar meñ bhī muskurā ke milā

    ab is se baḌh ke bhalā ho kamāl kyā us

    use to jaañ se bhī apnī azīz-tar rakhiye

    jo zaḳhm ḳhud lage indimāl kyā us

    ab is tarah bhī na yādoñ kirchiyāñ chuniye

    na thā firāq se behtar visāl kyā us

    ye soch kar na use phir kabhī mile 'ḳhālid'

    ki jaane hogā nadāmat se haal kyā us

    use to kho hi chuke phir KHayal kya us ka

    ye fikr kaisi ki phir hoga haal kya us ka

    wo ek shaKHs jise KHud hi chhoD baiThe hain

    ghulae deta hai dil ko malal kya us ka

    tumhaari aankhon mein chhalkin nadamaten kaise

    jawab banne laga kya sawal kya us ka

    wo nafraton ke bhanwar mein bhi muskura ke mila

    ab is se baDh ke bhala ho kamal kya us ka

    use to jaan se bhi apni aziz-tar rakhiye

    jo zaKHm KHud hi lage indimal kya us ka

    ab is tarah bhi na yaadon ki kirchiyan chuniye

    na tha firaq se behtar visal kya us ka

    ye soch kar na use phir kabhi mile 'KHalid'

    ki jaane hoga nadamat se haal kya us ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now