Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use ye haq hai ki wo mujhse iKHtilaf kare

Ejaz Rahmani

use ye haq hai ki wo mujhse iKHtilaf kare

Ejaz Rahmani

MORE BYEjaz Rahmani

    use ye haq hai ki vo mujh se iḳhtilāf kare

    magar vajūd mere bhī e'tirāf kare

    use to apnī bhī sūrat nazar nahīñ aatī

    vo apne shīsha-e-dil to gard saaf kare

    kiyā jo us ne mire saath nā-munāsib thā

    muaaf kar diyā maiñ ne ḳhudā muaaf kare

    vo shaḳhs jo kisī masjid meñ nahīñ saktā

    to apne ghar meñ kuchh roz etakāf kare

    vo aadmī to nahīñ hai siyāh patthar hai

    jo chāhtā hai ki duniyā mirā tavāf kare

    vo kohkan hai na hai us ke haath meñ tesha

    magar zabān se jab chāhe vo shigāf kare

    maiñ us ke saare naqā.is use batā dūñgā

    anā apne badan se judā ġhilāf kare

    jise bhī dekhiye patthar uThā.e phirtā hai

    koī to ho mirī vahshat e'tirāf kare

    maiñ is baat kaise yaqīñ karūñ 'ejāz'

    jo shaḳhs apne usūloñ se inhirāf kare

    use ye haq hai ki wo mujh se iKHtilaf kare

    magar wajud ka mere bhi e'tiraf kare

    use to apni bhi surat nazar nahin aati

    wo apne shisha-e-dil ki to gard saf kare

    kiya jo us ne mere sath na-munasib tha

    muaf kar diya main ne KHuda muaf kare

    wo shaKHs jo kisi masjid mein ja nahin sakta

    to apne ghar mein hi kuchh roz etakaf kare

    wo aadmi to nahin hai siyah patthar hai

    jo chahta hai ki duniya mera tawaf kare

    wo kohkan hai na hai us ke hath mein tesha

    magar zaban se jab chahe wo shigaf kare

    main us ke sare naqais use bata dunga

    ana ka apne badan se juda ghilaf kare

    jise bhi dekhiye patthar uThae phirta hai

    koi to ho meri wahshat ka e'tiraf kare

    main is ki baat ka kaise yaqin karun 'ejaz'

    jo shaKHs apne usulon se inhiraf kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now