usi ki mauj mein ab rah rahe hain tarkash ji
Interesting Fact
* मुक्तसर साहिब में शहीद होने वाले सिख योद्धाओं को गुरू गोबिन्द सिंह द्वारा दिया गया अस्वामित्व पत्र, जिसे बा’द में उनकी बहादुरी को देखते हुए वापस ले लिया गया था।
usī kī mauj meñ ab rah rahe haiñ 'tarkash' jī
bahā rahā hai koī bah rahe haiñ 'tarkash' jī
ye kaun dastaras-e-chashm meñ abhī tak hai
tamāshbīn kise kah rahe haiñ 'tarkash' jī
agar ye zindagī ne'mat haiñ kyoñ nahīñ jiite
agar 'azāb hai kyoñ sah rahe haiñ 'tarkash' jī
ab ek 'umr inheñ dhuup kī zarūrat hai
jo ek 'umr talak tah rahe haiñ 'tarkash' jī
milā huā hai ḳhushī se inheñ to be-dā'vā
udaas yuuñ hī nahīñ rah rahe haiñ 'tarkash' jī
kabhī vo ġhaur se sun le to sab samajh jaa.e
ġhazal ke naam pe kyā kah rahe haiñ 'tarkash' jī
usi ki mauj mein ab rah rahe hain 'tarkash' ji
baha raha hai koi bah rahe hain 'tarkash' ji
ye kaun dastaras-e-chashm mein abhi tak hai
tamashbin kise kah rahe hain 'tarkash' ji
agar ye zindagi ne'mat hain kyon nahin jite
agar 'azab hai kyon sah rahe hain 'tarkash' ji
ab ek 'umr inhen dhup ki zarurat hai
jo ek 'umr talak tah rahe hain 'tarkash' ji
mila hua hai KHushi se inhen to be-da'wa
udas yun hi nahin rah rahe hain 'tarkash' ji
kabhi wo ghaur se sun le to sab samajh jae
ghazal ke nam pe kya kah rahe hain 'tarkash' ji
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 39)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.