Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

utarti kyon ye sari ja rahi hai

Lokesh Kumar Singh

utarti kyon ye sari ja rahi hai

Lokesh Kumar Singh

MORE BYLokesh Kumar Singh

    utartī kyoñ ye saarī rahī hai

    kahāñ merī ḳhumārī rahī hai

    nazar nīchī kiye phirte haiñ bhañvre

    kalī sharmsārī rahī hai

    Thahākoñ meñ hue tabdīl aañsū

    shab-e-furqat guzārī rahī hai

    ajab mūrakh ho sīrat dekhte ho

    abhī sūrat nikhārī rahī hai

    kahāroñ jagah dikhtī haiñ ḳhushiyāñ

    dukhoñ vo savārī rahī hai

    baḌe-chhoToñ se bach ke chal rahe haiñ

    purānī pāsdārī rahī hai

    lageñ jis zamāne bhar ko nazreñ

    nazar us utārī rahī hai

    miyāñ ham bhī to pīchhe paḌe haiñ

    ġhazal reḌh maarī rahī hai

    yahāñ hāthoñ meñ chhāle ho ga.e haiñ

    vahāñ qismat sañvārī rahī hai

    bigaḌ mat dekh bas chup-chāp 'sāhil'

    nadī kis kis pe vaarī rahī hai

    utarti kyon ye sari ja rahi hai

    kahan meri KHumari ja rahi hai

    nazar nichi kiye phirte hain bhanwre

    kali ki sharmsari ja rahi hai

    Thahakon mein hue tabdil aansu

    shab-e-furqat guzari ja rahi hai

    ajab murakh ho sirat dekhte ho

    abhi surat nikhaari ja rahi hai

    kahaaron ki jagah dikhti hain KHushiyan

    dukhon ki wo sawari ja rahi hai

    baDe-chhoTon se bach ke chal rahe hain

    purani pasdari ja rahi hai

    lagen jis ki zamane bhar ko nazren

    nazar us ki utari ja rahi hai

    miyan hum bhi to pichhe hi paDe hain

    ghazal ki reDh mari ja rahi hai

    yahan hathon mein chhaale ho gae hain

    wahan qismat sanwari ja rahi hai

    bigaD mat dekh bas chup-chap 'sahil'

    nadi kis kis pe wari ja rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now