Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wadi-e-kun se gham-e-marhala-paima nikla

Kausar Jayasi

wadi-e-kun se gham-e-marhala-paima nikla

Kausar Jayasi

MORE BYKausar Jayasi

    vādī-e-kun se ġham-e-marhala-paimā niklā

    merī kashtī ko liye vaqt dariyā niklā

    pā-e-idrāk meñ chubhtā huā kāñTā niklā

    ishq ke daam meñ ḳhud apnā sarāpā niklā

    mehnat-e-ahl-e-vafā aa ga.ī kaam āḳhir

    har shigāf-e-ġham-e-hastī se saverā niklā

    aql ko naaz thā had-bandi-e-ḳhair-o-shar par

    dil ne jāñchā to har ik kaam adhūrā niklā

    us se milne fazā saaf nahīñ thī koī

    har guzargāh pe ehsās pahrā niklā

    tishnagī maiñ ne bujhā ye hunar thā varna

    ḳhizr dil bhī rah-e-umr meñ pyāsā niklā

    ḳhvāb dekhā thā kahāñ chamkī hai ta.abīr kahāñ

    hashr din mirī fitrat ujālā niklā

    maut had meñ bhī mujh ko na diyā izn-e-qayām

    saḳht mushkil tirī nazroñ taqāzā niklā

    mauja-e-nik.hat-e-gesū jise samjhā maiñ ne

    vo bhī mere nafas-e-sard jhoñkā niklā

    maiñ tahī-dast huuñ bāzār-e-vafā meñ 'kausar'

    sikka sikka zar-e-ummīd khoTā niklā

    wadi-e-kun se gham-e-marhala-paima nikla

    meri kashti ko liye waqt ka dariya nikla

    pa-e-idrak mein chubhta hua kanTa nikla

    ishq ke dam mein KHud apna sarapa nikla

    mehnat-e-ahl-e-wafa aa hi gai kaam aaKHir

    har shigaf-e-gham-e-hasti se sawera nikla

    aql ko naz tha had-bandi-e-KHair-o-shar par

    dil ne jaancha to har ek kaam adhura nikla

    us se milne ki faza saf nahin thi koi

    har guzargah pe ehsas ka pahra nikla

    tishnagi main ne bujha li ye hunar tha warna

    KHizr ka dil bhi rah-e-umr mein pyasa nikla

    KHwab dekha tha kahan chamki hai tabir kahan

    hashr ka din meri fitrat ka ujala nikla

    maut ki had mein bhi mujh ko na diya izn-e-qayam

    saKHt mushkil teri nazron ka taqaza nikla

    mauja-e-nikhat-e-gesu jise samjha main ne

    wo bhi mere nafas-e-sard ka jhonka nikla

    main tahi-dast hun bazar-e-wafa mein 'kausar'

    sikka sikka zar-e-ummid ka khoTa nikla

    Source:

    Nishat-e-Fikr (Pg. 121)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now