waqai KHatm intizar hua
vāqa'ī ḳhatm intizār huā
us ko chhū kar hī e'tibār huā
aap tashrīf laa.e the ik roz
dūsre roz e'tibār huā
maiñ vo dariyā huuñ jis ke paanī meñ
koī Duubā na koī paar huā
koī aahaT nahīñ huī jab raat
to havā kā bhī intizār huā
mere chāroñ taraf fasīleñ thiiñ
pāñchvīñ samt se farār huā
us kī tasvīr uThā.ī phir rakh dī
raat ye kaam baar baar huā
'urs thā raat us kī yādoñ kā
ḳhuub ashkoñ kā kār-o-bār huā
waqa'i KHatm intizar hua
us ko chhu kar hi e'tibar hua
aap tashrif lae the ek roz
dusre roz e'tibar hua
main wo dariya hun jis ke pani mein
koi Duba na koi par hua
koi aahaT nahin hui jab raat
to hawa ka bhi intizar hua
mere chaaron taraf fasilen thin
panchwin samt se farar hua
us ki taswir uThai phir rakh di
raat ye kaam bar bar hua
'urs tha raat us ki yaadon ka
KHub ashkon ka kar-o-bar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.