wafa ka dard bana hai sawal aankhon mein
vafā kā dard banā hai savāl āñkhoñ meñ
utar gayā hai kisī kā malāl āñkhoñ meñ
yahī batāyā use apne āñsuoñ kā sabab
chalā gayā hai koī uḌ ke baal āñkhoñ meñ
ye ḳhush-gavār manāzir ye mahkī mahkī fazā
qiyām karte nahīñ haiñ niDhāl āñkhoñ meñ
shafaq shafaq hai safedī mirī basārat kī
koī lakīr banātā hai laal āñkhoñ meñ
bas ek shaḳhs thā duniyā meñ dekhne vaalā
bas ek shaḳhs kā ġham hai ġhazāl āñkhoñ meñ
kaho na ġhālib-e-dānā se aaj ye 'resham'
ki Tuut jaa.e na jām-e-sifāl āñkhoñ meñ
wafa ka dard bana hai sawal aankhon mein
utar gaya hai kisi ka malal aankhon mein
yahi bataya use apne aansuon ka sabab
chala gaya hai koi uD ke baal aankhon mein
ye KHush-gawar manazir ye mahki mahki faza
qiyam karte nahin hain niDhaal aankhon mein
shafaq shafaq hai safedi meri basarat ki
koi lakir banata hai lal aankhon mein
bas ek shaKHs tha duniya mein dekhne wala
bas ek shaKHs ka gham hai ghazal aankhon mein
kaho na ghaalib-e-dana se aaj ye 'resham'
ki Tut jae na jam-e-sifal aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.