Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya

Khalid Yusuf

wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya

Khalid Yusuf

MORE BYKhalid Yusuf

    vafā ke naam pe rakkhī haiñ tohmateñ kyā kyā

    bigāḌ haiñ zamāne ne sūrateñ kyā kyā

    hamīñ pe dosh hai un qazā namāzoñ

    janāb-e-shaiḳh ne DhūñDīñ vazāhateñ kyā kyā

    baḌe ḳhulūs se ik shahr-e-gul ujaaḌ liyā

    huī haiñ ahl-e-nazar se himāqateñ kyā kyā

    fareb-e-sīm-o-javāhar hue haiñ nām-o-numūd

    ḳhayāl-e-yār se uljhī haiñ zulmateñ kyā kyā

    vo mehrbāñ to na thā par ḳhulūs bhī na rahā

    paḌī haiñ ġhair sohbat meñ ādateñ kyā kyā

    zabān-e-qātil-o-maqtūl par hai ek naam

    ḳhudā ke naam pe guzrīñ qayāmateñ kyā kyā

    baḌhā ke halqa-e-rindāñ ranjisheñ 'ḳhālid'

    sitamgaroñ ne nikālī haiñ hasrateñ kyā kyā

    wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya

    bigaD di hain zamane ne suraten kya kya

    hamin pe dosh hai un ki qaza namazon ka

    janab-e-shaiKH ne DhunDin wazahaten kya kya

    baDe KHulus se ek shahr-e-gul ujaD liya

    hui hain ahl-e-nazar se himaqaten kya kya

    fareb-e-sim-o-jawahar hue hain nam-o-numud

    KHayal-e-yar se uljhi hain zulmaten kya kya

    wo mehrban to na tha par KHulus bhi na raha

    paDi hain ghair ki sohbat mein aadaten kya kya

    zaban-e-qatil-o-maqtul par hai ek hi nam

    KHuda ke nam pe guzrin qayamaten kya kya

    baDha ke halqa-e-rindan ki ranjishen 'KHalid'

    sitamgaron ne nikali hain hasraten kya kya

    Source:

    Zakhm-e-Safer (Pg. 68)

    • Author: Khalid Yusuf
      • Edition: 1997
      • Publisher: Ahbab Publishers
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now