wafa zindagi se nibhane laga hun
vafā zindagī se nibhāne lagā huuñ
maiñ phir āj-kal muskurāne lagā huuñ
mohabbat bharī ik kahānī purānī
suno na suno maiñ sunāne lagā huuñ
vo kaise milī dil meñ kaise basī thī
maiñ parde sabhī ab uThāne lagā huuñ
ye 'ādil' ke ash'ār haiñ taaza taaza
jinheñ zer-e-lab gungunāne lagā huuñ
wafa zindagi se nibhane laga hun
main phir aaj-kal muskurane laga hun
mohabbat bhari ek kahani purani
suno na suno main sunane laga hun
wo kaise mili dil mein kaise basi thi
main parde sabhi ab uThane laga hun
ye 'adil' ke ash'ar hain taza taza
jinhen zer-e-lab gungunane laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.