wahshat-e-dil ko shabahat nahin milne wali
vahshat-e-dil ko shabāhat nahīñ milne vaalī
binā hijrat ke ye daulat nahīñ milne vaalī
dil ke saudoñ meñ siyāsat ko pare hī rakhnā
zahr se dil kī riyāsat nahīñ milne vaalī
ik nazar jā ke use dekh hī aa.eñ ab to
ghar meñ baiThe se to rāhat nahīñ milne vaalī
laakh tum muñh pe lagā.e phiro naqlī chehre
ḳhuun se paanī kī rangat nahīñ milne vaalī
kuchh to sachchā.ī abhī apnā asar rakhtī hai
sirf afvāhoñ se shohrat nahīñ milne vaalī
wahshat-e-dil ko shabahat nahin milne wali
bina hijrat ke ye daulat nahin milne wali
dil ke saudon mein siyasat ko pare hi rakhna
zahr se dil ki riyasat nahin milne wali
ek nazar ja ke use dekh hi aaen ab to
ghar mein baiThe se to rahat nahin milne wali
lakh tum munh pe lagae phiro naqli chehre
KHun se pani ki rangat nahin milne wali
kuchh to sachchai abhi apna asar rakhti hai
sirf afwahon se shohrat nahin milne wali
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 58)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.