waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai
vaqt be-vaqt ye poshāk mirī taak meñ hai
jāntā huuñ ki mirī ḳhaak mirī taak meñ hai
mujh ko duniyā ke 'azāboñ se Darāne vaalo
ek 'ālam pas-e-aflāk mirī taak meñ hai
jam' kartā hai shavāhid mire hone ke ḳhilāf
dar-haqīqat mirā idrāk mirī taak meñ hai
hai mire gird hifāzat ke liye ek hisār
ho agar koī ġhazabnāk mirī taak meñ hai
vo to yuuñ hai ki bachātā hai bachāne vaalā
varna ik lashkar-e-saffāk mirī taak meñ hai
ik taraf ruuh vuzū meñ nahīñ hotī shāmil
ik taraf sajda-e-nāpāk mirī taak meñ hai
āshnā ek hai is shahr meñ 'āsim' merā
aur vo dushman-e-be-bāk mirī taak meñ hai
waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai
jaanta hun ki meri KHak meri tak mein hai
mujh ko duniya ke 'azabon se Darane walo
ek 'alam pas-e-aflak meri tak mein hai
jam' karta hai shawahid mere hone ke KHilaf
dar-haqiqat mera idrak meri tak mein hai
hai mere gird hifazat ke liye ek hisar
ho agar koi ghazabnak meri tak mein hai
wo to yun hai ki bachata hai bachane wala
warna ek lashkar-e-saffak meri tak mein hai
ek taraf ruh wuzu mein nahin hoti shamil
ek taraf sajda-e-napak meri tak mein hai
aashna ek hai is shahr mein 'asim' mera
aur wo dushman-e-be-bak meri tak mein hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 80)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.