waqt-e-aKHir jo taDap hoti hai parwanon ki
vaqt-e-āḳhir jo taḌap hotī hai parvānoñ kī
bas vahī aaj hai hālat mire armānoñ kī
khul ga.ī phir kisī majnūn kī zanjīr-e-hayāt
qahqaha sā uThā ik bazm meñ dīvānoñ kī
ruuTh ke mulk-e-'adam kaun ye mai-ḳhvār chalā
ziist sakte meñ khaḌī rah ga.ī mai-ḳhānoñ kī
dard se chīḳhtī haiñ zaḳhmī tamannā.eñ mirī
ḳhāmushī kāñptī hai zabt ke vīrānoñ meñ
yā-ḳhudā dil ke safīne kī hifāzat karnā
aaj shiddat pe hai dīvāngī tūfānoñ kī
is bharī duniyā meñ yuuñ ziist mirī lagtī hai
jaise aa pahuñche koī bazm meñ begānoñ kī
waqt-e-aKHir jo taDap hoti hai parwanon ki
bas wahi aaj hai haalat mere armanon ki
khul gai phir kisi majnun ki zanjir-e-hayat
qahqaha sa uTha ek bazm mein diwanon ki
ruTh ke mulk-e-'adam kaun ye mai-KHwar chala
zist sakte mein khaDi rah gai mai-KHanon ki
dard se chiKHti hain zaKHmi tamannaen meri
KHamushi kanpti hai zabt ke viranon mein
ya-KHuda dil ke safine ki hifazat karna
aaj shiddat pe hai diwangi tufanon ki
is bhari duniya mein yun zist meri lagti hai
jaise aa pahunche koi bazm mein beganon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.