waqt-e-ruKHsat tere gaon se bhi kya lena hai
vaqt-e-ruḳhsat tire gaaoñ se bhī kyā lenā hai
maiñ ne gulshan kī havāoñ se bhī kyā lenā hai
jab na saa.e tirī zulfoñ ke mayassar aa.e
maiñ ne ghanghor ghaTāoñ se bhī kyā lenā hai
jo tujhe pā na sakeñ apnī kisī shiddat se
aisī bātoñ se adāoñ se bhī kyā lenā hai
ek hī lamhe meñ hastī ko miTā dete haiñ
ham ne nafrat ke ḳhudāoñ se bhī kyā lenā hai
maiñ ne ik peḌ lagānā hai ki bas yaad rahe
varna is peḌ kī chhāoñ se bhī kyā lenā hai
waqt-e-ruKHsat tere gaon se bhi kya lena hai
main ne gulshan ki hawaon se bhi kya lena hai
jab na sae teri zulfon ke mayassar aae
main ne ghanghor ghaTaon se bhi kya lena hai
jo tujhe pa na saken apni kisi shiddat se
aisi baaton se adaon se bhi kya lena hai
ek hi lamhe mein hasti ko miTa dete hain
hum ne nafrat ke KHudaon se bhi kya lena hai
main ne ek peD lagana hai ki bas yaad rahe
warna is peD ki chhaon se bhi kya lena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.