waqt ka daman tang hai lekin mera daman tang nahin
vaqt kā dāman tang hai lekin merā dāman tang nahīñ
dhuup ke Dar se jo uḌ jaa.e rang vo merā rang nahīñ
bedārī kā 'ālam mujh ko ḳhvāb kā mausam lagtā hai
hairat hai aaj un hāthoñ meñ ā.īna hai sang nahīñ
bahne vaalā saḌkoñ par ye kis kā lahū hai merā hai
maiñ to apnā qātil ḳhud huuñ ġhair se merī jang nahīñ
chīḳh uTheñge saare parbat tesha koī laa.e to
aisā kaun sā patthar hai jis patthar meñ āhang nahīñ
jab tak us ke qurb kī ḳhushbū hāsil thī maiñ zinda thā
vo jo nahīñ to yuuñ lagtā hai koī bhī mere sang nahīñ
pahle apne qad ko dekheñ phir mujh par tanqīd kareñ
un kā zikr bhī kyoñ karte ho jo mere pāsang nahīñ
hoñToñ par kuchh lafz shikasta jumle bhī be-rabt 'e'jāz'
dil kī baat sunā.ūñ kaise kahne kā bhī Dhang nahīñ
waqt ka daman tang hai lekin mera daman tang nahin
dhup ke Dar se jo uD jae rang wo mera rang nahin
bedari ka 'alam mujh ko KHwab ka mausam lagta hai
hairat hai aaj un hathon mein aaina hai sang nahin
bahne wala saDkon par ye kis ka lahu hai mera hai
main to apna qatil KHud hun ghair se meri jang nahin
chiKH uThenge sare parbat tesha koi lae to
aisa kaun sa patthar hai jis patthar mein aahang nahin
jab tak us ke qurb ki KHushbu hasil thi main zinda tha
wo jo nahin to yun lagta hai koi bhi mere sang nahin
pahle apne qad ko dekhen phir mujh par tanqid karen
un ka zikr bhi kyon karte ho jo mere pasang nahin
honTon par kuchh lafz shikasta jumle bhi be-rabt 'e'jaz'
dil ki baat sunaun kaise kahne ka bhi Dhang nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.