waqt ki aandhi ke sab farman-zad ho jaenge
vaqt kī āñdhī ke sab farmān-zad ho jā.eñge
sabz pattoñ ke sahīfe mustanad ho jā.eñge
zulm ke sūraj kā chehra kaise hogā be-naqāb
jab taraf-dāroñ meñ shāmil nek-o-bad ho jā.eñge
ye kise mā'lūm thā aisā taġhayyur aa.egā
kal ke jo ausāf the vo aaj rad ho jā.eñge
mom kī talvār be-masraf hai jalte shahr meñ
pheñk diije aap varna nām-zad ho jā.eñge
aap kī be-ehtiyātī kā ye 'ālam hai to phir
kuchh dinoñ ke baad mohtāj-e-madad ho jā.eñge
jo zamāne ke chalan kā saath de sakte nahīñ
khoTe sikke kī tarah vo aaj rad ho jā.eñge
zehn kī nashv-o-numā bhī ho badan jaisī zarūr
chand hī barsoñ meñ bachche sarv-qad ho jā.eñge
in dinoñ masrūf jin zehnoñ kī tayyārī meñ huuñ
vaqt aane par vo sab ke sab sanad ho jā.eñge
sochte haiñ jo mushīroñ ke dimāġhoñ se 'asar'
jald hī begāna-e-hosh-o-ḳhirad ho jā.eñge
waqt ki aandhi ke sab farman-zad ho jaenge
sabz patton ke sahife mustanad ho jaenge
zulm ke suraj ka chehra kaise hoga be-naqab
jab taraf-daron mein shamil nek-o-bad ho jaenge
ye kise ma'lum tha aisa taghayyur aaega
kal ke jo ausaf the wo aaj rad ho jaenge
mom ki talwar be-masraf hai jalte shahr mein
phenk dije aap warna nam-zad ho jaenge
aap ki be-ehtiyati ka ye 'alam hai to phir
kuchh dinon ke baad mohtaj-e-madad ho jaenge
jo zamane ke chalan ka sath de sakte nahin
khoTe sikke ki tarah wo aaj rad ho jaenge
zehn ki nashw-o-numa bhi ho badan jaisi zarur
chand hi barson mein bachche sarw-qad ho jaenge
in dinon masruf jin zehnon ki tayyari mein hun
waqt aane par wo sab ke sab sanad ho jaenge
sochte hain jo mushiron ke dimaghon se 'asar'
jald hi begana-e-hosh-o-KHirad ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.