waqt ki bazgasht se kab ye hua ki Dar gae
vaqt kī bāzgasht se kab ye huā ki Dar ga.e
dard kī dhuup Dhal ga.ī hijr ke din guzar ga.e
tez qadam nikal ga.e dhuup kī sarhadoñ se duur
raah kī chhāñv dekh kar sust qadam Thahar ga.e
log bhī haiñ na.e na.e shahr bhī haiñ na.e na.e
bāteñ vo kho ga.iiñ kahāñ raste vo sab kidhar ga.e
bārish-e-rañg-o-nūr se jaan chaman meñ paḌ ga.ī
phuul tamām khil uThe peḌ sabhī nikhar ga.e
le ke chale the narmiyāñ ghar se guloñ kī sub.h ko
barg-e-ḳhizāñ the shaam jab lauT ke apne ghar ga.e
ham ko havā-e-vaqt ne dī hai shikast bārhā
siip kī tarah band the gul kī tarah bikhar ga.e
sher likhūñ to kis tarah nazm kahūñ to kyuuñ bhalā
merī zabān chhin ga.ī haath mire katar ga.e
toḌnā thiiñ rivāyateñ moḌnā thiiñ hikāyateñ
log vo ḳhud-pasand the hañste hue jo mar ga.e
waqt ki bazgasht se kab ye hua ki Dar gae
dard ki dhup Dhal gai hijr ke din guzar gae
tez qadam nikal gae dhup ki sarhadon se dur
rah ki chhanw dekh kar sust qadam Thahar gae
log bhi hain nae nae shahr bhi hain nae nae
baaten wo kho gain kahan raste wo sab kidhar gae
barish-e-rang-o-nur se jaan chaman mein paD gai
phul tamam khil uThe peD sabhi nikhar gae
le ke chale the narmiyan ghar se gulon ki subh ko
barg-e-KHizan the sham jab lauT ke apne ghar gae
hum ko hawa-e-waqt ne di hai shikast barha
sip ki tarah band the gul ki tarah bikhar gae
sher likhun to kis tarah nazm kahun to kyun bhala
meri zaban chhin gai hath mere katar gae
toDna thin riwayaten moDna thin hikayaten
log wo KHud-pasand the hanste hue jo mar gae
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 60)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.