waqt ki shatranj par ye Dhai ghar aata nahin
vaqt kī shatranj par ye Dhaa.ī ghar aatā nahīñ
sastī shohrat ke liye koī hunar aatā nahīñ
diin duniyā zindagī ke baab meñ har aadmī
be-ḳhabar jaatā nahīñ aur bā-ḳhabar aatā nahīñ
apne apne dostoñ yāroñ vafādāroñ kī fikr
dūsroñ ke kaam meñ koī bashar aatā nahīñ
ab kahāñ le jaa.eñ apnī ‘izzat-o-nāmūs ko
kaun sā vo rāsta hai jis meñ Dar aatā nahīñ
jaan kī baazī lagāne kā zamāna hai magar
kyā kiyā jaa.e hathelī par ye sar aatā nahīñ
ik se ik ḳhūñḳhār haibatnāk machhlī maujzan
jhiil meñ ḳhush hai samundar meñ magar aatā nahīñ
baiThe baiThe bāñdh lete haiñ havā bhī she'r meñ
shā'iroñ ko bādbānī kā hunar aatā nahīñ
tauba kar lī yā qasam de dī kisī ne 'irtizā'
kyā huā ab mai-kade meñ jā ke mar aatā nahīñ
waqt ki shatranj par ye Dhai ghar aata nahin
sasti shohrat ke liye koi hunar aata nahin
din duniya zindagi ke bab mein har aadmi
be-KHabar jata nahin aur ba-KHabar aata nahin
apne apne doston yaron wafadaron ki fikr
dusron ke kaam mein koi bashar aata nahin
ab kahan le jaen apni ‘izzat-o-namus ko
kaun sa wo rasta hai jis mein Dar aata nahin
jaan ki bazi lagane ka zamana hai magar
kya kiya jae hatheli par ye sar aata nahin
ek se ek KHunKHar haibatnak machhli maujzan
jhil mein KHush hai samundar mein magar aata nahin
baiThe baiThe bandh lete hain hawa bhi she'r mein
sha'iron ko baadbani ka hunar aata nahin
tauba kar li ya qasam de di kisi ne 'irtiza'
kya hua ab mai-kade mein ja ke mar aata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.