waraq-waraq koi harf-e-dua chamakta hai
varaq-varaq koī harf-e-du'ā chamaktā hai
mirī kitāb meñ kis kā likhā chamaktā hai
ye aise din to nahīñ haiñ ki raushnī ho bahut
ba-faiz-e-shauq mirā rāsta chamaktā hai
mire vujūd meñ terā vujūd aise hai
daraḳht-e-zard meñ jaise harā chamaktā hai
nahīñ hai merī riyāzat kā is meñ koī daḳhl
tire ḳhayāl se ġhār-e-hirā chamaktā hai
ye raushnī meñ koī aur raushnī kaisī
ki mujh meñ kaun ye mere sivā chamaktā hai
maiñ ek baar to hairān ho gayā 'sānī'
ye merā 'aks hai yā aa.ina chamaktā hai
waraq-waraq koi harf-e-du'a chamakta hai
meri kitab mein kis ka likha chamakta hai
ye aise din to nahin hain ki raushni ho bahut
ba-faiz-e-shauq mera rasta chamakta hai
mere wujud mein tera wujud aise hai
daraKHt-e-zard mein jaise hara chamakta hai
nahin hai meri riyazat ka is mein koi daKHl
tere KHayal se ghaar-e-hira chamakta hai
ye raushni mein koi aur raushni kaisi
ki mujh mein kaun ye mere siwa chamakta hai
main ek bar to hairan ho gaya 'sani'
ye mera 'aks hai ya aaina chamakta hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 25)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.