waraq waraq meri dastan hai shikar hun apni aagahi ka
varaq varaq merī dāstāñ hai shikār huuñ apnī āgahī kā
samundaroñ se fareb khā kar surāġh paayā hai tishnagī kā
maiñ apnī mushkil-pasand fitrat se qarz le kar jafā-kashī kā
kahīñ bayābāñ meñ jā basūñgā jahāñ ijāra na ho kisī kā
mirī samā'at ke saare jangal navā ke sho'loñ se jal rahe haiñ
mire 'ilāqe pe kis qayādat ne jaal pheñkā hai raushnī kā
jahāñ kahīñ 'ilm kī qanā'at ne vahm ke hausle baḌhā.e
vahīñ ta’aqqul kī muḳhbirī ne ġhurūr toḌā hai bandagī kā
maiñ apne bātin ke zalzaloñ kī tabāh-kārī se bach to niklā
khaḌā huuñ ātish-fishāñ kī zad par bhalā huā ehsās-e-kamtarī kā
ye shahr-e-ahl-e-karam hai 'tālib' ye log haiñ lā.iq-e-tamāshā
ho ḳhvāhish-e-dīd misl-e-ġhālib to svāñg bhar lo gadāgarī kā
waraq waraq meri dastan hai shikar hun apni aagahi ka
samundaron se fareb kha kar suragh paya hai tishnagi ka
main apni mushkil-pasand fitrat se qarz le kar jafa-kashi ka
kahin bayaban mein ja basunga jahan ijara na ho kisi ka
meri sama'at ke sare jangal nawa ke sho'lon se jal rahe hain
mere 'ilaqe pe kis qayaadat ne jal phenka hai raushni ka
jahan kahin 'ilm ki qana'at ne wahm ke hausle baDhae
wahin ta’aqqul ki muKHbiri ne ghurur toDa hai bandagi ka
main apne baatin ke zalzalon ki tabah-kari se bach to nikla
khaDa hun aatish-fishan ki zad par bhala hua ehsas-e-kamtari ka
ye shahr-e-ahl-e-karam hai 'talib' ye log hain laiq-e-tamasha
ho KHwahish-e-did misl-e-ghaalib to swang bhar lo gadagari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.