warzish-e-ishq mein haalanki bahut tez hai wo
varzish-e-'ishq meñ hālāñki bahut tez hai vo
apnī fitrat se magar dilbar-e-añgrez hai vo
kyā ġhazal se bhī mirī raam na hogā vo ġhazāl
yuuñ agar hai to 'ajab āhū-e-ram-ḳhez hai vo
'ishq ne phir se javāñ kar diyā us ko shāyad
sin-rasīda hai magar phir bhī bahut tez hai vo
maiñ to samjhā thā havas ne kiyā banjar us ko
us se mil kar ye khulā aaj bhī zarḳhez hai vo
ai ḳhudā khol de sab rāz-e-nihānī us ke
log jāneñ to sahī kitnā shar-angez hai vo
kyā karūñ vasf bayāñ ḳhush-badanī kā us kī
shāḳh-e-gul sā hai magar kitnā sharar-bez hai vo
bas yahī soch ke sab us pe fidā haiñ 'najmī'
hai tahī-mahr to kyā husn se labrez hai vo
warzish-e-'ishq mein haalanki bahut tez hai wo
apni fitrat se magar dilbar-e-angrez hai wo
kya ghazal se bhi meri ram na hoga wo ghazal
yun agar hai to 'ajab aahu-e-ram-KHez hai wo
'ishq ne phir se jawan kar diya us ko shayad
sin-rasida hai magar phir bhi bahut tez hai wo
main to samjha tha hawas ne kiya banjar us ko
us se mil kar ye khula aaj bhi zarKHez hai wo
ai KHuda khol de sab raaz-e-nihani us ke
log jaanen to sahi kitna shar-angez hai wo
kya karun wasf bayan KHush-badani ka us ki
shaKH-e-gul sa hai magar kitna sharar-bez hai wo
bas yahi soch ke sab us pe fida hain 'najmi'
hai tahi-mahr to kya husn se labrez hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.