wasl ki dhun mein sada mahw-e-buka rahta hun main
vasl kī dhun meñ sadā mahv-e-bukā rahtā huuñ maiñ
bahte paanī par lakīreñ khīñchtā rahtā huuñ maiñ
be-vafā vo hai na maiñ huuñ lekin is dil ke sabab
kitne andeshoñ meñ aksar mubtalā rahtā huuñ maiñ
mujh ko ye dhun hai ki nikle sulh kā rasta koī
vo samajhte haiñ ki dushman se milā rahtā huuñ maiñ
kar diyā be-ghar mujhe ik ḳhāna-bar-andāz ne
'ishq kī daulat se lekin jā-ba-jā rahtā huuñ maiñ
haañ tirī ḳhātir hī kartā huuñ zamāne bhar se pyaar
haañ tirī ḳhātir hī duniyā se ḳhafā rahtā huuñ maiñ
kaisī duniyā hai ki barsoñ se hai is se iḳhtilāt
aaj bhī hairat se lekin dekhtā rahtā huuñ maiñ
tū ḳhudā hai 'arsh-o-kursī hai tire shāyān-e-shān
maiñ huuñ banda farsh-e-ḳhākī par paḌā rahtā huuñ maiñ
wasl ki dhun mein sada mahw-e-buka rahta hun main
bahte pani par lakiren khinchta rahta hun main
be-wafa wo hai na main hun lekin is dil ke sabab
kitne andeshon mein aksar mubtala rahta hun main
mujh ko ye dhun hai ki nikle sulh ka rasta koi
wo samajhte hain ki dushman se mila rahta hun main
kar diya be-ghar mujhe ek KHana-bar-andaz ne
'ishq ki daulat se lekin ja-ba-ja rahta hun main
han teri KHatir hi karta hun zamane bhar se pyar
han teri KHatir hi duniya se KHafa rahta hun main
kaisi duniya hai ki barson se hai is se iKHtilat
aaj bhi hairat se lekin dekhta rahta hun main
tu KHuda hai 'arsh-o-kursi hai tere shayan-e-shan
main hun banda farsh-e-KHaki par paDa rahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.