qafile se alag chale hum log
qāfile se alag chale ham log
surḳhiyoñ meñ bane rahe ham log
dekhiye kab talak raheñge saath
ek se haiñ mizāj ke ham log
sub.h qurbān tere chehre par
raat kitne udaas the ham log
jin kā sūjhā na kuchh javāb hameñ
un savāloñ pe hañs diye ham log
kitne tūfān jhel jaate haiñ
aab aur ḳhaak se bane ham log
phir koī faisla na kar paa.e
sail-e-imkāñ meñ bah ga.e ham log
ab ke haare to Tuut jā.eñge
jiit jaa.eñ ḳhudā kare ham log
qafile se alag chale hum log
surKHiyon mein bane rahe hum log
dekhiye kab talak rahenge sath
ek se hain mizaj ke hum log
subh qurban tere chehre par
raat kitne udas the hum log
jin ka sujha na kuchh jawab hamein
un sawalon pe hans diye hum log
kitne tufan jhel jate hain
aab aur KHak se bane hum log
phir koi faisla na kar pae
sail-e-imkan mein bah gae hum log
ab ke haare to Tut jaenge
jit jaen KHuda kare hum log
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 57)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.