pas-e-ghubar aai thi sada mujhe
pas-e-ġhubār aa.ī thī sadā mujhe
phir us ke baa'd kuchh nahīñ dikhā mujhe
maiñ ḳhāmushī se apnī samt baḌh gayā
tirā firāq dekhtā rahā mujhe
muqābla kiyā zarā sī der bas
phir us ke baa'd sher khā gayā mujhe
ye aur baat raat kaT ga.ī magar
tire baġhair Dar bahut lagā mujhe
vo ek shaam rā.egāñ chalī ga.ī
us ek shaam kitnā kaam thā mujhe
magar maiñ pahle kī tarah na ban sakā
udheḌ kar jo phir bunā gayā mujhe
kuchh aur hī thā rang raat shahr kā
sahar huī to muḳhtalif lagā mujhe
pas-e-ghubar aai thi sada mujhe
phir us ke ba'd kuchh nahin dikha mujhe
main KHamushi se apni samt baDh gaya
tera firaq dekhta raha mujhe
muqabla kiya zara si der bas
phir us ke ba'd sher kha gaya mujhe
ye aur baat raat kaT gai magar
tere baghair Dar bahut laga mujhe
wo ek sham raegan chali gai
us ek sham kitna kaam tha mujhe
magar main pahle ki tarah na ban saka
udheD kar jo phir buna gaya mujhe
kuchh aur hi tha rang raat shahr ka
sahar hui to muKHtalif laga mujhe
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 84)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.