visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai
visāl-e-yār kaise ho ye qissa kuchh ajab bhī hai
charāġh-e-dil jale kab tak bahut lambī ye shab bhī hai
hameñ kuchh der ghar kī khiḌkiyāñ bhī band karne do
balā kā shor hai bāhar ḳhamoshī kī talab bhī hai
vahī pahchān hai apnī vahī hai apnī azmat bhī
kahīñ bhī pūchh lenā apnā koī nām-o-nasab bhī hai
ye āñkheñ diid kī tālib haiñ ab bhī bevafā man le
mulāqāteñ nahīñ hotīñ mirī jaañ kuchh sabab bhī hai
tumhāre naam ko sunte hī ḳhush hotā thā dil merā
tumhārā zikr aate hī in āñkhoñ meñ ġhazab bhī hai
mire bachche javāñ haiñ phir bhī sahmā sahmā rahtā huuñ
abhī bhī Dar hai vālid kā vahī dil meñ adab bhī hai
khanaktī chūḌiyoñ meñ hai chhalakte jaam kā partav
surūr-o-raqs kī rut hai aur ik jashn-e-talab bhī hai
'azīm' ab tak vahī yādeñ vahī hai miil kā patthar
guzargāhoñ kā har manzar jo pahle thā so ab bhī hai
visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai
charagh-e-dil jale kab tak bahut lambi ye shab bhi hai
hamein kuchh der ghar ki khiDkiyan bhi band karne do
bala ka shor hai bahar KHamoshi ki talab bhi hai
wahi pahchan hai apni wahi hai apni azmat bhi
kahin bhi puchh lena apna koi nam-o-nasab bhi hai
ye aankhen did ki talib hain ab bhi bewafa man le
mulaqaten nahin hotin meri jaan kuchh sabab bhi hai
tumhaare nam ko sunte hi KHush hota tha dil mera
tumhaara zikr aate hi in aankhon mein ghazab bhi hai
mere bachche jawan hain phir bhi sahma sahma rahta hun
abhi bhi Dar hai walid ka wahi dil mein adab bhi hai
khanakti chuDiyon mein hai chhalakte jam ka partaw
surur-o-raqs ki rut hai aur ek jashn-e-talab bhi hai
'azim' ab tak wahi yaaden wahi hai mil ka patthar
guzargahon ka har manzar jo pahle tha so ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.