wo aankh uTThi to maiKHane bahut hain
vo aañkh uTThī to maiḳhāne bahut haiñ
ye dil TuuTā to paimāne bahut haiñ
mirī barbādiyoñ par hañsne vaalo
haqīqat kam hai afsāne bahut haiñ
mubārak chāñd tak parvāz lekin
zamīñ par bhī to vīrāne bahut haiñ
charāġh-e-dil jalā do ġham ke maaro
ki rāhoñ meñ siyah-ḳhāne bahut haiñ
ye duniyā bhī 'ajab duniyā hai 'shādāñ'
ki apnoñ hī meñ begāne bahut haiñ
wo aankh uTThi to maiKHane bahut hain
ye dil TuTa to paimane bahut hain
meri barbaadiyon par hansne walo
haqiqat kam hai afsane bahut hain
mubarak chand tak parwaz lekin
zamin par bhi to virane bahut hain
charagh-e-dil jala do gham ke maro
ki rahon mein siyah-KHane bahut hain
ye duniya bhi 'ajab duniya hai 'shadan'
ki apnon hi mein begane bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.