wo apne dil ko halka kar rahe hain
vo apne dil ko halkā kar rahe haiñ
so tanhā.ī meñ girya kar rahe haiñ
tumhārī yaad ko paikar banā kar
usī ke saath jhagḌā kar rahe haiñ
yahāñ āvāz maddham paḌ rahī thī
so ḳhāmoshī se hallā kar rahe haiñ
na.ī manzil na.e raste banāo
yahāñ sab log charba kar rahe haiñ
ḳhudā kī ashraf-e-maḳhlūq the jo
yahāñ aa kar vo kyā kyā kar rahe haiñ
koī āvāz de kar chhup gayā thā
so ḳhāmoshī kā pīchhā kar rahe haiñ
wo apne dil ko halka kar rahe hain
so tanhai mein girya kar rahe hain
tumhaari yaad ko paikar bana kar
usi ke sath jhagDa kar rahe hain
yahan aawaz maddham paD rahi thi
so KHamoshi se halla kar rahe hain
nai manzil nae raste banao
yahan sab log charba kar rahe hain
KHuda ki ashraf-e-maKHluq the jo
yahan aa kar wo kya kya kar rahe hain
koi aawaz de kar chhup gaya tha
so KHamoshi ka pichha kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.