Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai

Nawaz Deobandi

wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai

Nawaz Deobandi

MORE BYNawaz Deobandi

    vo apne ghar ke darīchoñ se jhāñktā kam hai

    ta.alluqāt to ab bhī haiñ rābta kam hai

    tum is ḳhamosh tabī.at pe tanz mat karnā

    vo sochtā hai bahut aur boltā kam hai

    bilā sabab miyāñ tum udaas rahte ho

    tumhāre ghar se to masjid fāslā kam hai

    fuzūl tez havāoñ ko dosh detā hai

    use charāġh jalāne hausla kam hai

    maiñ apne bachchoñ ḳhātir jaan de detā

    magar ġharīb jaañ muāvza kam hai

    wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai

    talluqat to ab bhi hain rabta kam hai

    tum is KHamosh tabiat pe tanz mat karna

    wo sochta hai bahut aur bolta kam hai

    bila sabab hi miyan tum udas rahte ho

    tumhaare ghar se to masjid ka fasla kam hai

    fuzul tez hawaon ko dosh deta hai

    use charagh jalane ka hausla kam hai

    main apne bachchon ki KHatir hi jaan de deta

    magar gharib ki jaan ka muawza kam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now