wo apni palkon ko jhapke yun hi bas sham ho jae
vo apnī palkoñ ko jhapke yuuñ hī bas shaam ho jaa.e
ham us ko dekhte jaa.eñ ye apnā kaam ho jaa.e
hameñ tum kam samajh aa.e tumheñ ham kam samajh aa.e
chalo ik kaam karte haiñ ki ik ik jaam ho jaa.e
ghaḌī bhar dekh le ham ko jo do pal baat kar le bas
baḌā bechain hai ye dil ise ārām ho jaa.e
bharī mahfil meñ rusvā vo mujhe har baar kartā hai
kisī ke vāste kitnā koī badnām ho jaa.e
maiñ chal kar thak gayā huuñ bas ki ab aisā ho jaa.e kuchh
Thahar jaa.e ye rasta aur safar kī shaam ho jaa.e
sunā hai dekh le vo gar to pakkā jaan jaanī hai
ab us ke sar pe apne qatl kā ilzām ho jaa.e
vahī saudā kare dil kā vahī phir toḌ de us ko
yahī ḳhvāhish hai bas apnī yahī anjām ho jaa.e
wo apni palkon ko jhapke yun hi bas sham ho jae
hum us ko dekhte jaen ye apna kaam ho jae
hamein tum kam samajh aae tumhein hum kam samajh aae
chalo ek kaam karte hain ki ek ek jam ho jae
ghaDi bhar dekh le hum ko jo do pal baat kar le bas
baDa bechain hai ye dil ise aaram ho jae
bhari mahfil mein ruswa wo mujhe har bar karta hai
kisi ke waste kitna koi badnam ho jae
main chal kar thak gaya hun bas ki ab aisa ho jae kuchh
Thahar jae ye rasta aur safar ki sham ho jae
suna hai dekh le wo gar to pakka jaan jaani hai
ab us ke sar pe apne qatl ka ilzam ho jae
wahi sauda kare dil ka wahi phir toD de us ko
yahi KHwahish hai bas apni yahi anjam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.