wo aur waqt tha wo aur hi nazara tha
vo aur vaqt thā vo aur hī nazāra thā
jab 'ishq meñ hameñ mar jaanā bhī gavāra thā
mile kabhī to use merā shukriya kahnā
vo jis ne bhī mujhe mañjdhār meñ utārā thā
tumhāre naam kā ab tak hai shor kānoñ meñ
tumhāre jaane pe itnā tumheñ pukārā thā
jabīñ pe raushnī aatī thī us ke aane se
maiñ ek baḳht-e-siyah thā vo ik sitāra thā
sañbhāle thā vo jo girtī huī mirī dīvār
mujhe ḳhabar na thī vo shaḳhs be-sahārā thā
ye kaun jāntā thā shahr-e-ajnabī meñ mujhe
pas-e-naqāb ye kis ne mujhe pukārā thā
ham aise log 'alāmat hoñ jaise sahrā kī
aur ek tū ki bahāroñ kā isti'āra thā
wo aur waqt tha wo aur hi nazara tha
jab 'ishq mein hamein mar jaana bhi gawara tha
mile kabhi to use mera shukriya kahna
wo jis ne bhi mujhe manjdhaar mein utara tha
tumhaare nam ka ab tak hai shor kanon mein
tumhaare jaane pe itna tumhein pukara tha
jabin pe raushni aati thi us ke aane se
main ek baKHt-e-siyah tha wo ek sitara tha
sanbhaale tha wo jo girti hui meri diwar
mujhe KHabar na thi wo shaKHs be-sahaara tha
ye kaun jaanta tha shahr-e-ajnabi mein mujhe
pas-e-naqab ye kis ne mujhe pukara tha
hum aise log 'alamat hon jaise sahra ki
aur ek tu ki bahaaron ka isti'ara tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 94)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.