Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bahki nigahen kya kahiye wo mahki jawani kya kahiye

Farhat Kanpuri

wo bahki nigahen kya kahiye wo mahki jawani kya kahiye

Farhat Kanpuri

MORE BYFarhat Kanpuri

    vo bahkī nigāheñ kyā kahiye vo mahkī javānī kyā kahiye

    vo kaif meñ Duube lamhoñ ab raat suhānī kyā kahiye

    uljhī huī zulfeñ ḳhvāb-asar badmast nigāheñ vaj.h-e-baqā

    duniyā se magar imkān-e-shab-e-asrār-o-ma.ānī kyā kahiye

    rūdād-e-mohabbat sun sun kar ḳhud husn ko bhī niiñd aane lagī

    ab aur kahāñ se laa.eñ dil ab aur kahānī kyā kahiye

    jiinā bhī bahut mushkil hai marnā bhī koī āsān nahīñ

    allāh re kashākash ulfat kyā meñ hai Thānī kyā kahiye

    'farhat' patā pūchhe jo koī kaafī hai faqat ye kaafī hai

    phūTī huī qismat TuuTā dil ab aur nishānī kyā kahiye

    wo bahki nigahen kya kahiye wo mahki jawani kya kahiye

    wo kaif mein Dube lamhon ki ab raat suhani kya kahiye

    uljhi hui zulfen KHwab-asar badmast nigahen wajh-e-baqa

    duniya se magar imkan-e-shab-e-asrar-o-maani kya kahiye

    rudad-e-mohabbat sun sun kar KHud husn ko bhi nind aane lagi

    ab aur kahan se laen dil ab aur kahani kya kahiye

    jina bhi bahut hi mushkil hai marna bhi koi aasan nahin

    allah re kashakash ulfat ki kya ji mein hai Thani kya kahiye

    'farhat' ka pata puchhe jo koi kafi hai faqat ye kafi hai

    phuTi hui qismat TuTa dil ab aur nishani kya kahiye

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 167)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now