Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha

Sajjad Mirza

wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha

Sajjad Mirza

MORE BYSajjad Mirza

    vo bhī kyā din the sukūn-e-zindagī dekhā na thā

    dhuup thī sahrā thā ham the duur tak saaya na thā

    bharī bastī meñ koī us ko paḌh saktā na thā

    jabīnoñ par koī harf-e-shikan likkhā na thā

    ġham tārīkī meñ gum thā merā ehsās-e-nazar

    dil meñ terī yaad sūraj abhī niklā na thā

    har kiran dhaar garche kund itnī bhī na thī

    raat patthar kisī sūrat magar kaTtā na thā

    ek muddat ho ga.ī thī mujh ko apne ghar meñ band

    mere darvāze pe dastak koī bhī detā na thā

    gumbad-e-be-dar sūrat thī hayāt-e-be-sabāt

    maiñ hisār-e-zāt se bāhar kabhī niklā na thā

    sab āñkhoñ meñ sajā.e phir rahe the ratjage

    kyā sabab thā shahr meñ kal shab koī soyā na thā

    baa'd muddat jab huā thā aa.ine ke rū-ba-rū

    yuuñ lagā thā jaise ye chehra mirā apnā na thā

    kyā huā ab dil dhaḌkan bhī sadā detī nahīñ

    itnā gahrā pahle is bastī meñ sannāTā na thā

    kaun paanī meñ utar kar DhūñDhtā 'sajjād' ko

    mauj ne us fasāna ret par likkhā na thā

    wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha

    dhup thi sahra tha hum the dur tak saya na tha

    ya bhari basti mein koi us ko paDh sakta na tha

    ya jabinon par koi harf-e-shikan likkha na tha

    gham ki tariki mein gum tha mera ehsas-e-nazar

    dil mein teri yaad ka suraj abhi nikla na tha

    har kiran ki dhaar garche kund itni bhi na thi

    raat ka patthar kisi surat magar kaTta na tha

    ek muddat ho gai thi mujh ko apne ghar mein band

    mere darwaze pe dastak koi bhi deta na tha

    gumbad-e-be-dar ki surat thi hayat-e-be-sabaat

    main hisar-e-zat se bahar kabhi nikla na tha

    sab hi aankhon mein sajae phir rahe the ratjage

    kya sabab tha shahr mein kal shab koi soya na tha

    ba'd muddat jab hua tha aaine ke ru-ba-ru

    yun laga tha jaise ye chehra mera apna na tha

    kya hua ab dil ki dhaDkan bhi sada deti nahin

    itna gahra pahle is basti mein sannaTa na tha

    kaun pani mein utar kar DhunDhta 'sajjad' ko

    mauj ne us ka fasana ret par likkha na tha

    Source:

    Dasht-e-Tanhayi (Pg. 31)

    • Author: Sajjad Mirza
      • Publisher: Mohammad Iqbal Najmi
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now