wo bhi mere mizaj ke jaisa nahin raha
vo bhī mire mizāj ke jaisā nahīñ rahā
shāyad falak se chāñd kā rishta nahīñ rahā
ḳhushbū kā zikr kartā hai sandal ke peḌ se
āñgan meñ jis ke phuul kā paudā nahīñ rahā
ab hādsoñ kī zad meñ bhī aane lagā suḳhan
dekho ġhazal meñ 'mīr' sā lahja nahīñ rahā
jis ne anā kī shāḳh se toḌe sadā samar
us kā habīb us kā shanāsā nahīñ rahā
nīlām ho rahī haiñ purānī haveliyāñ
aslāf kā hamāre asāsa nahīñ rahā
ham meñ jo dūriyāñ haiñ zamāne kī den hai
zālim ḳhafā rahā magar itnā nahīñ rahā
hogī kisī ke naam se mansūb dekhnā
'irfāñ' tirī ġhazal meñ jo maqta' nahīñ rahā
wo bhi mere mizaj ke jaisa nahin raha
shayad falak se chand ka rishta nahin raha
KHushbu ka zikr karta hai sandal ke peD se
aangan mein jis ke phul ka pauda nahin raha
ab hadson ki zad mein bhi aane laga suKHan
dekho ghazal mein 'mir' sa lahja nahin raha
jis ne ana ki shaKH se toDe sada samar
us ka habib us ka shanasa nahin raha
nilam ho rahi hain purani haweliyan
aslaf ka hamare asasa nahin raha
hum mein jo duriyan hain zamane ki den hai
zalim KHafa raha magar itna nahin raha
hogi kisi ke nam se mansub dekhna
'irfan' teri ghazal mein jo maqta' nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.