Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam

Mushafi Ghulam Hamdani

wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    vo chāñdnī raat aur vo mulāqāt aalam

    kyā lutf meñ guzrā hai ġharaz raat aalam

    jaatā huuñ jo majlis meñ shab us rashk-e-parī

    aatā hai nazar mujh ko tilismāt aalam

    barsoñ nahīñ kartā kabhū baat kisū se

    mushtāq rahtā hai tirī baat aalam

    kar majlis-e-ḳhūbāñ meñ zarā sair ki bāham

    hotā hai ajab un ke ishārāt aalam

    dil us na loTe kabhī phūloñ safā par

    shabnam ko dikhā duuñ jo tire gaat aalam

    ham log sifāt us bayāñ karte haiñ varna

    hai vahm o ḳhirad se bhī pare zaat aalam

    vo kaalī ghaTā aur vo bijlī chamaknā

    vo meñh bauchhāḌeñ vo barsāt aalam

    dekhā jo shab-e-hijr to royā maiñ ki us vaqt

    yaad aayā shab-e-vasl ke auqāt aalam

    ham 'mus.hafī' qaane haiñ ba-ḳhushk-o-tar-e-gītī

    hai apne to nazdīk musāvāt aalam

    wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam

    kya lutf mein guzra hai gharaz raat ka aalam

    jata hun jo majlis mein shab us rashk-e-pari ki

    aata hai nazar mujh ko tilismat ka aalam

    barson nahin karta tu kabhu baat kisu se

    mushtaq hi rahta hai teri baat ka aalam

    kar majlis-e-KHuban mein zara sair ki baham

    hota hai ajab un ke ishaaraat ka aalam

    dil us ka na loTe kabhi phulon ki safa par

    shabnam ko dikha dun jo tere gat ka aalam

    hum log sifat us ki bayan karte hain warna

    hai wahm o KHirad se bhi pare zat ka aalam

    wo kali ghaTa aur wo bijli ka chamakna

    wo meinh ki bauchhaDen wo barsat ka aalam

    dekha jo shab-e-hijr to roya main ki us waqt

    yaad aaya shab-e-wasl ke auqat ka aalam

    hum 'mushafi' qane hain ba-KHushk-o-tar-e-giti

    hai apne to nazdik musawat ka aalam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now