wo chhup kar aae hain ghabra rahe hain

wo chhup kar aae hain ghabra rahe hain
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
vo chhup kar aa.e haiñ ghabrā rahe haiñ
pasīnoñ par pasīne aa rahe haiñ
jo kal tak ek nannhī sī kalī the
vo ġhunche phuul bante jā rahe haiñ
javānī aur phir un kī javānī
qayāmat par qayāmat Dhā rahe haiñ
nafas kī aaḌ meñ ab har nafas vo
barābar aa rahe haiñ jā rahe haiñ
sar-e-mahfil vo baiThe hañs rahe the
mujhe dekhā to ab sharmā rahe haiñ
laboñ par un ke raqsāñ hai tabassum
nazar se bijliyāñ barsā rahe haiñ
vo ġhunche khil ke hoñge ḳhud pashemāñ
na khil kar aaj jo pachhtā rahe haiñ
ye terā sho’bda hai yā ki dil kā
jahāñ jaate haiñ tujh ko pā rahe haiñ
yuuñ hī ik din vo aa jā.eñge ḳhud bhī
ḳhayāl un ke to aksar aa rahe haiñ
'junūñ' un nargisī āñkhoñ ke aage
kañval ke phuul bhī sharmā rahe haiñ
wo chhup kar aae hain ghabra rahe hain
pasinon par pasine aa rahe hain
jo kal tak ek nannhi si kali the
wo ghunche phul bante ja rahe hain
jawani aur phir un ki jawani
qayamat par qayamat Dha rahe hain
nafas ki aaD mein ab har nafas wo
barabar aa rahe hain ja rahe hain
sar-e-mahfil wo baiThe hans rahe the
mujhe dekha to ab sharma rahe hain
labon par un ke raqsan hai tabassum
nazar se bijliyan barsa rahe hain
wo ghunche khil ke honge KHud pasheman
na khil kar aaj jo pachhta rahe hain
ye tera sho’bda hai ya ki dil ka
jahan jate hain tujh ko pa rahe hain
yun hi ek din wo aa jaenge KHud bhi
KHayal un ke to aksar aa rahe hain
'junun' un nargisi aankhon ke aage
kanwal ke phul bhi sharma rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.