wo dad-e-sitam bhi diye ja rahe hain
vo dād-e-sitam bhī diye jā rahe haiñ
madavā-e-ġham bhī kiye jā rahe haiñ
ab un mast nazroñ ke sadqe meñ ham bhī
musalsal piye hī piye jā rahe haiñ
nigāhoñ se chhup kar bhī chhupte nahīñ vo
nigāhoñ ko dhoke diye jā rahe haiñ
gumāñ ho na jaa.e unheñ dard-e-dil kā
ham aañsū pe aañsū piye jā rahe haiñ
sitam kī koī had bhī hai un se pūchho
karam par karam kyoñ kiye jā rahe haiñ
jo Dar Dar ke chakhte the jur.e pe jur.a
vo sāġhar pe sāġhar liye jā rahe haiñ
zarā apnī nazroñ ke kushtoñ ko dekho
tumheñ dekhte haiñ jiye jā rahe haiñ
terī bazm se jā rahe haiñ jo uTh kar
nigāhoñ meñ tujh ko liye jā rahe haiñ
mohabbat ke māroñ ko vo maar kar bhī
mohabbat ke tā'ne diye jā rahe haiñ
zabāñ un kī chup hai magar vo haiñ goyā
nigāhoñ se bāteñ kiye jā rahe haiñ
'junūñ' ashk-afshāñ haiñ jo soz-e-ġham meñ
vo sho'loñ ko shabnam kiye jā rahe haiñ
wo dad-e-sitam bhi diye ja rahe hain
madawa-e-gham bhi kiye ja rahe hain
ab un mast nazron ke sadqe mein hum bhi
musalsal piye hi piye ja rahe hain
nigahon se chhup kar bhi chhupte nahin wo
nigahon ko dhoke diye ja rahe hain
guman ho na jae unhen dard-e-dil ka
hum aansu pe aansu piye ja rahe hain
sitam ki koi had bhi hai un se puchho
karam par karam kyon kiye ja rahe hain
jo Dar Dar ke chakhte the jure pe jura
wo saghar pe saghar liye ja rahe hain
zara apni nazron ke kushton ko dekho
tumhein dekhte hain jiye ja rahe hain
teri bazm se ja rahe hain jo uTh kar
nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain
mohabbat ke maron ko wo mar kar bhi
mohabbat ke ta'ne diye ja rahe hain
zaban un ki chup hai magar wo hain goya
nigahon se baaten kiye ja rahe hain
'junun' ashk-afshan hain jo soz-e-gham mein
wo sho'lon ko shabnam kiye ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.