Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai

Bayan Meeruthi

wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai

Bayan Meeruthi

MORE BYBayan Meeruthi

    vo dariyā-bār ashkoñ jhaḌī hai

    ki hūt-e-āsmāñ tah meñ paḌī hai

    mire armāñ butoñ sard-mehrī

    zarā'at barf ke paale paḌī hai

    chaman meñ sarv bahrūp bhar kar

    qayāmat muntazar kis khaḌī hai

    dahān-e-tañg ġhuncha patiyāñ lab

    hañsī hai phuul fiqra pankhuḌī hai

    lagā aag kis sho'la ne bulbul

    har ik phūloñ Tahnī phuljhaḌī hai

    nigāh-e-yās kis kar ga.ī choT

    ki gardan teġh Dhalkī paḌī hai

    'anāsir jald pahuñchā deñge tā-gor

    nihāyat tez-rau ye chaukḌī hai

    kafan se muñh lapeTe merī hasrat

    dil-e-vīrāñ ke kone meñ paḌī hai

    sirhāne mudda'ī aayā to jaanā

    judā.ī ghaḌī sar par khaḌī hai

    kisī ko paar utāregā falak kyā

    usī naav chakkar meñ paḌī hai

    banā le 'aql aag putlā falātūñ

    ki talchhaT kuchh mire ḳhum meñ paḌī hai

    nasha hai aur hiran haiñ us āñkheñ

    nazar-bāzī hiran chaukḌī hai

    nigāh-e-shauq se siina churāyā

    hamārī choT tum se bhī kaḌī hai

    balā-e-zulf-e-mehmāñ se kahūñ kyā

    nahīñ Taltī mire sar aa paḌī hai

    siyāhī duur hogī rafta rafta

    abhī zāhid dāḌhī kaḌbaḌī hai

    sar-e-mahshar baḌhī hai kis qadar zulf

    qayāmat kis qadar ochhī paḌī hai

    guhar-bīñ hai nizām-ul-mulk apnā

    tabī'at kyā 'bayāñ' qismat laḌī hai

    wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai

    ki hut-e-asman tah mein paDi hai

    mere arman buton ki sard-mehri

    zara'at barf ke pale paDi hai

    chaman mein sarw ka bahrup bhar kar

    qayamat muntazar kis ki khaDi hai

    dahan-e-tang ghuncha patiyan lab

    hansi hai phul fiqra pankhuDi hai

    laga di aag kis sho'la ne bulbul

    har ek phulon ki Tahni phuljhaDi hai

    nigah-e-yas kis ki kar gai choT

    ki gardan tegh ki Dhalki paDi hai

    'anasir jald pahuncha denge ta-gor

    nihayat tez-rau ye chaukDi hai

    kafan se munh lapeTe meri hasrat

    dil-e-viran ke kone mein paDi hai

    sirhane mudda'i aaya to jaana

    judai ki ghaDi sar par khaDi hai

    kisi ko par utarega falak kya

    usi ki naw chakkar mein paDi hai

    bana le 'aql aag ka putla falatun

    ki talchhaT kuchh mere KHum mein paDi hai

    nasha hai aur hiran hain us ki aankhen

    nazar-bazi hiran ki chaukDi hai

    nigah-e-shauq se sina churaya

    hamari choT tum se bhi kaDi hai

    bala-e-zulf-e-mehman se kahun kya

    nahin Talti mere sar aa paDi hai

    siyahi dur hogi rafta rafta

    abhi zahid ki daDhi kaDbaDi hai

    sar-e-mahshar baDhi hai kis qadar zulf

    qayamat kis qadar ochhi paDi hai

    guhar-bin hai nizam-ul-mulk apna

    tabi'at kya 'bayan' qismat laDi hai

    Source:

    Dewan-e-Bayan Merthi (Pg. 119)

      • Edition: 2007
      • Publisher: Salman Fine Printers, Nagpur
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now