Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai

Makhmoor Saeedi

wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai

Makhmoor Saeedi

MORE BYMakhmoor Saeedi

    vo daur-e-nashāt-o-dīda-o-dil jaise bas abhī guzrā to hai

    siine kasak kis tarah miTe har dāġh-e-kuhan taaza to hai

    saath kahāñ lekin ab tak har rahguzar-e-tanhā.ī par

    jo aage aage chaltā hai ai dost koī tujh to hai

    is tā.ir-e-āvāra ke liye yuuñ jaal na bun ummīdoñ ke

    uḌtā huā lamha jaise abhī roke se tire ruktā to hai

    mālūm nahīñ kis vaqt ye kyā bartāv kisī se kartī hai

    duniyā se koī ummīd na rakh māyūs na ho duniyā to hai

    kirneñ na.e din ke sūraj phaileñgī to gum ho jā.egā

    tārīk hai jis se dil ufuq guzrī shab saayā to hai

    lamhoñ ke hujūm-e-gurezāñ meñ ik lamha jise apnā kahiye

    jaañ de ke bhī haath aa jaa.e agar mahñgā kab hai sastā to hai

    'maḳhmūr' ta.āqub kar dekho kuchh duur nahīñ haath aa jaa.e

    ik gum-shuda ḳhushbū jhoñkā āñgan se abhī guzrā to hai

    wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai

    sine ki kasak kis tarah miTe har dagh-e-kuhan taza hi to hai

    tu sath kahan lekin ab tak har rahguzar-e-tanhai par

    jo aage aage chalta hai ai dost koi tujh sa hi to hai

    is tair-e-awara ke liye yun jal na bun ummidon ke

    uDta hua lamha jaise abhi roke se tere rukta hi to hai

    malum nahin kis waqt ye kya bartaw kisi se karti hai

    duniya se koi ummid na rakh mayus na ho duniya hi to hai

    kirnen nae din ke suraj ki phailengi to gum ho jaega

    tarik hai jis se dil ka ufuq guzri shab ka saya hi to hai

    lamhon ke hujum-e-gurezan mein ek lamha jise apna kahiye

    jaan de ke bhi hath aa jae agar mahnga kab hai sasta hi to hai

    'maKHmur' taaqub kar dekho kuchh dur nahin hath aa jae

    ek gum-shuda KHushbu ka jhonka aangan se abhi guzra hi to hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 955)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now