Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dekh aa raha hai buDhapa qaza ke sath

Sham Lal Roshan Dehlvi

wo dekh aa raha hai buDhapa qaza ke sath

Sham Lal Roshan Dehlvi

MORE BYSham Lal Roshan Dehlvi

    vo dekh aa rahā hai buḌhāpā qazā ke saath

    ye dekh rahī hai javānī havā ke saath

    pīr-e-muġhāñ ke marte bhaTTī ujaḌ ga.ī

    kashtī-e-mai bhī Duub ga.ī nāḳhudā ke saath

    dete haiñ ham banāspatī ghī se āhutī

    kaisā huā ye khel hai parmātmā ke saath

    saaqī bhī monsōn ke daftar meñ hai clerk

    botal bhī ab to aaya karegī ghaTā ke saath

    hamdardiyoñ ke saath haiñ ye pesh-bandiyāñ

    laa.e haiñ vo kafan bhī hamārī davā ke saath

    beTe-bahū ghūmnā kis muñh se Tokiye

    ab to chachī bhī ghuum rahī haiñ chachā ke saath

    bad-nasīb 'ishq meñ piTne se Dar gayā

    'raushan' ko dekh ho liyā piT-piTā ke saath

    wo dekh aa raha hai buDhapa qaza ke sath

    ye dekh ja rahi hai jawani hawa ke sath

    pir-e-mughan ke marte hi bhaTTi ujaD gai

    kashti-e-mai bhi Dub gai naKHuda ke sath

    dete hain hum banaspati ghi se aahuti

    kaisa hua ye khel hai parmatma ke sath

    saqi bhi monsoon ke daftar mein hai clerk

    botal bhi ab to aaya karegi ghaTa ke sath

    hamdardiyon ke sath hain ye pesh-bandiyan

    lae hain wo kafan bhi hamari dawa ke sath

    beTe-bahu ka ghumna kis munh se Tokiye

    ab to chachi bhi ghum rahi hain chacha ke sath

    tu bad-nasib 'ishq mein piTne se Dar gaya

    'raushan' ko dekh ho hi liya piT-piTa ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now