wo dil hi kya hai jo bar-e-digar jalaya nahin
vo dil hī kyā hai jo bār-e-digar jalāyā nahīñ
maiñ sochtā thā jalā lūñgā par jalāyā nahīñ
kisī badan se mohabbat kā intiqām liyā
diye ko aag dikhā.ī magar jalāyā nahīñ
vo shaḳhs jalne pe āmāda ho chukā thā magar
jalāne vaale ne kuchh soch kar jalāyā nahīñ
ḳhushī bhī hai ki tirī aag ke hisār meñ huuñ
malāl bhī ki mujhe vaqt par jalāyā nahīñ
us ik diye pe tavajjoh kī aañch rahtī thī
maiñ jāntā thā jalegā agar jalāyā nahīñ
mujhe jalā ke vo ātish-gurez sochtā hai
abhī to maiñ ne ise bā-ḳhabar jalāyā nahīñ
hamārī aag meñ koī kashish to hai 'haidar'
udhar bhī aag lagī hai jidhar jalāyā nahīñ
wo dil hi kya hai jo bar-e-digar jalaya nahin
main sochta tha jala lunga par jalaya nahin
kisi badan se mohabbat ka intiqam liya
diye ko aag dikhai magar jalaya nahin
wo shaKHs jalne pe aamada ho chuka tha magar
jalane wale ne kuchh soch kar jalaya nahin
KHushi bhi hai ki teri aag ke hisar mein hun
malal bhi ki mujhe waqt par jalaya nahin
us ek diye pe tawajjoh ki aanch rahti thi
main jaanta tha jalega agar jalaya nahin
mujhe jala ke wo aatish-gurez sochta hai
abhi to main ne ise ba-KHabar jalaya nahin
hamari aag mein koi kashish to hai 'haidar'
udhar bhi aag lagi hai jidhar jalaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.