wo din bhi aae ki hum ye ajib khana khaen
vo din bhī aa.e ki ham ye 'ajīb khānā khā.eñ
amiir khānā pakā.eñ ġharīb khānā khā.eñ
vo shab kahāñ ki khule us badan kā dastarḳhvān
aur us ke saath meñ ham ḳhush-nasīb khānā khā.eñ
ham ahl-e-'ishq dukān-e-havas pe jaa.eñ na kyoñ
jab us kī dā'vat-e-dil meñ raqīb khānā khā.eñ
tamām shahr hai faaqe se aur ġhazab dekho
amīr-e-shahr aur us ke habīb khānā khā.eñ
koī to aa.e jo naqqād kā valīma karā.e
ki ek din to ye shā'ir adiib khānā khā.eñ
yahī hai 'ishq ki jab gul kareñ shikam-serī
to us ke dūsre din 'andalīb khānā khā.eñ
wo din bhi aae ki hum ye 'ajib khana khaen
amir khana pakaen gharib khana khaen
wo shab kahan ki khule us badan ka dastarKHwan
aur us ke sath mein hum KHush-nasib khana khaen
hum ahl-e-'ishq dukan-e-hawas pe jaen na kyon
jab us ki da'wat-e-dil mein raqib khana khaen
tamam shahr hai faqe se aur ghazab dekho
amir-e-shahr aur us ke habib khana khaen
koi to aae jo naqqad ka walima karae
ki ek din to ye sha'ir adib khana khaen
yahi hai 'ishq ki jab gul karen shikam-seri
to us ke dusre din 'andalib khana khaen
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 69)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.