wo hath aur hi tha wo patthar hi aur tha
vo haath aur hī thā vo patthar hī aur thā
dekhā palak jhapak ke to manzar hī aur thā
tere baġhair jis meñ guzārī thī saarī 'umr
tujh se jab aa.e mil ke to vo ghar hī aur thā
suntā vo kyā ki ḳhauf bazāhir thā be-sabab
kahtā maiñ us se kyā ki mujhe Dar hī aur thā
jaatī kahāñ pe bach ke havā-e-charāġh-gīr
mujh jaisā ek mere barābar hī aur thā
kyā hote ham-kalām bhalā sāhil-o-charāġh
vo shab hī aur thī vo samundar hī aur thā
wo hath aur hi tha wo patthar hi aur tha
dekha palak jhapak ke to manzar hi aur tha
tere baghair jis mein guzari thi sari 'umr
tujh se jab aae mil ke to wo ghar hi aur tha
sunta wo kya ki KHauf bazahir tha be-sabab
kahta main us se kya ki mujhe Dar hi aur tha
jati kahan pe bach ke hawa-e-charagh-gir
mujh jaisa ek mere barabar hi aur tha
kya hote ham-kalam bhala sahil-o-charagh
wo shab hi aur thi wo samundar hi aur tha
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 58)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.