aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain

Mahirul Qadri

wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    vo hañs hañs ke vaade kiye rahe haiñ

    fareb-e-tamannā diye rahe haiñ

    tirā naam le kar jiye rahe haiñ

    gunāh-e-mohabbat kiye rahe haiñ

    mire zaḳhm-e-dil muqaddar to dekho

    nigāhoñ se Tāñke diye rahe haiñ

    na kaalī ghaTā.eñ na phūloñ mausam

    magar piine vaale piye rahe haiñ

    tirī mahfil-e-nāz se uThne vaale

    nigāhoñ meñ tujh ko liye rahe haiñ

    mire shauq-e-dīdār haal sun kar

    qayāmat ke vaade kiye rahe haiñ

    harīm-e-tajallī meñ zauq-e-nazar hai

    nigāhoñ se sajde kiye rahe haiñ

    abhī hai asīrī āġhāz 'māhir'

    abhī to faqat par siye rahe haiñ

    wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain

    fareb-e-tamanna diye ja rahe hain

    tera nam le kar jiye ja rahe hain

    gunah-e-mohabbat kiye ja rahe hain

    mere zaKHm-e-dil ka muqaddar to dekho

    nigahon se Tanke diye ja rahe hain

    na kali ghaTaen na phulon ka mausam

    magar pine wale piye ja rahe hain

    teri mahfil-e-naz se uThne wale

    nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain

    mere shauq-e-didar ka haal sun kar

    qayamat ke wade kiye ja rahe hain

    harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai

    nigahon se sajde kiye ja rahe hain

    abhi hai asiri ka aaghaz 'mahir'

    abhi to faqat par siye ja rahe hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now